settings icon
share icon
Praśn

Nayā ākāś aur Naī pṛthvī kyā hain?

Uttar


Bahut se logon ko galatphahamī hai ki svarg vāstav men kis tarah kā hai. Prakāśitvāky adhyāy 21-22 hame nae svarg aur naī pṛthvī ke bāre men vistṛt chitr prastut kartā hai. Ant ke samay kī ghaṭanāon ke paśchāt, hamārā abhī kā svarg aur pṛthvī chlā jāegā aur iskā sthān nayā svarg aur naī pṛthvī le lenge. Viśvāsiyon kā anantkālīn nivās sthān naī pṛthvī par hogā. Naī pṛthvī ek aisā "svarg" hai jiske ūpar ham anantkāl ke jīvan ko vyatīt karenge. Yah naī pṛthvī hī hai jahāan par nayā Yarūśalem, svargīy śahar, sthit hogā. Is naī pṛthvī ke ūpar hī motiyon ke daravāje aur sone kī saḍake honge.

Svarg – arthāt naī pṛthvī – aisā bhautik sthān hai jahāan par ham mahimāmayī avināśī śarīro ke sāth vās karenge (1 Kurinthiyon 15:35-38). Yah vichārdhārā kī "svarg bādlon men hai" Bāibal sammat nahīn hai. Jis svarg ko viśvāsī anubhav karenge vah nayā aur siddh grah hogā jismen ham vās karenge. Naī pṛthvī pāap, burāī, bimārī, dukhon aur mṛtyu se svatantar hogī. Yah hamārī abhī kī pṛthvī ke jaise hī hogī, yā śāyad ho sakatā hai ki hamārī abhī kī pṛthvī kā hī phir se nirmāṇ hogā, parntu yah pāap ke śrāap se rahit hogī.

Nae svarg ke bāre men kyā kahen? Yah smaraṇ rakhanā ati mahatvpūrṇ hai ki prāchīn logon ke man men "svarg" kā sanket ākāś aur bāhṛy antarikṣ, ke sāth sāth us lok kī or bhī thā jismen Parmeśvar vās kartā thā. Islie, jab Prakāśitvāky 21:1 nae svarg kī or sanket kartā hai, to is sanket kī saṃbhāvnā adhik hai ki pūre brahmāṇḍ ko – arthāt naī pṛthvī, nae ākāś, ek nae antarikṣ ko sṛjā jāegā. Aisā jān paḍtā hai ki māno Parmeśvar ke svarg ko bhī phir dobārā se nirmit kiyā gayā hai, tāki brahmāṇḍ men sab kuch ko ek "nayā ārambh" diyā jāe chāhe vah bhautik yā ātmik hī kyon na ho. Kyā anantkāl men ham nae svarg tak pahunch pāenge? Sāyad hāan, parntu hame is kī khoj hone tak pratīkṣā karnī hogī. Hamārī prārthanā hai ki ham sabhī Parmeśvar ke vachan ko svarg ke bāre men hamārī samajh ko sahī ākār dene kī ham men anumati den.

English



Hindī ya Roman-Nagari ke mukhya pṛṣṭha par vāpsa jāie

Nayā ākāś aur Naī pṛthvī kyā hain?
Facebook icon Twitter icon Pinterest icon Email icon
© Copyright Got Questions Ministries