settings icon
share icon
Praśn

Main sangṭhit dharm men kyon viśvās karūn?

Uttar


śabdkoṣa men "Dharm" kī paribhāṣā kuch is tarah kī hogī ki ‘‘Parmeśvar yā devatāo par viśvās jin kī upāasnā kī jātī ho, jo sāmāny rūp men ācharaṇ aur rīti-rivājo men vyakta hote hain; viśvās, upāasnā ādi kī viśeṣ vyavasthā jo sāmāny taur se naitiktāo kī sūchī ko sammilit kartī hai. Is paribhāṣā ke prakāś men, Bāibal avaśy hī sangṭhit dharm ke bāre men bāat kartī hai, parntu bahut sī ghaṭanāon men ‘‘sangṭhit dharm’’ ke udveśya aur prabhāv aise nahī hai jin se Parmeśvar prasann hotā ho.

Utpatti adhyāy 11 men, śāyad sangṭhit dharm kā pahalā udāharṇ milatā hai, sāre sanār men phaila jān kī Parmeśvar kī āgyā ko na māna kar Nūh ke vanśjo ne sangṭhit hokar Bebīlon kā gummaṭ banāyā. Ve viśvās karte the ki unakī ektā Parmeśvar ke sāth sambandh rakhane se adhik mahattvapūrṇ hai. Parmeśvar ne hastakṣep kiyā aur unakī bhāṣā men gaḍbaḍī ḍāl dī, is tarah se unake sangṭhit dharm ko toḍ ḍālā.

Nirgaman adhyāy 6 men aur uske āge, Parmeśvar ne Ejrāel rāṣṭr ke lie ek dharm ko ‘‘sangṭhit’’ kiyā. Das āgyāe, Milāap vāle tambu ke viṣy men vyavasthā, aur balidān chaḍhaāne kī vyavasthā, in sab ko Parmeśvar ke dvārā sthāpit kiyā gayā thā aur inakā anusraṇ Istrāelīyon ke dvārā karnā hotā thā. Age Naye Niyam kā adhyayan spaṣṭ kartā hai ki is dharm kā udveśya ek uddhārkartā-Masīh kī āvaśyaktā kī or sanket karnā thā (Galātiyon 3; Romiyon 7). Hālānki, bahuto ne ise galat samajhā hai aur Parmeśvar kī apekṣā vyavasthāo aur rīti-rivājo kī upāasnā karne lage hain.

Ejrāel ke sampūrṇ itihās men, Istrāelīyon ke dvārā anubhav kiye gae bahut se sangharṣo men sangṭhit dharmo ke sāth sangharṣ bhī sammilit the. Udāharṇo svarūp Bāl kī upāasnā (Nyāyīyon 6; 1 Rājā 18), Dāgon (1 Samūel 5), aur Molek ( 2 Rājā 23:10) ādi sammilit hai. Parmeśvar ne apanī prabhusttā aur sarvasāmarthī hone ko pradarśit karte hue in dharmo ke anuyāyiyo ko parājit kiyā.

Susmāchār kī pustako men, Masīh ke samay men Pharīsīyon aur Sadukīyon ko sangṭhit dharm ke pratinidhiyon ke rūp men darśāyā gayā hai. Yīśu nirantar unakī galat śikṣāon aur kapaṭapūrṇ jīvan śailī ke kāraṇ unakā sāmanā karte rahā thā. Patrīyon men bhī, sangṭhit samūh milate hain jinhonne susmāchār ko kaī āvaśyak kāryo aur rīti rivājo kī sūciyon ke sāth milā diyā thā. Unhonne viśvāsīyo ke ūpar bhī ‘‘Masīhat ke sāth joḍae gaai’’ dharmo ko apanāne aur inamen parivartit hone ke lie prabhāv ḍālne kā prayās kiyā thā. Galātiyon aur Kulussiyon aise dharmo ke viṣy men chitāvanī dete hai. Prakāśitvāky kī pustak men, pāte hai ki sangṭhit dharm sanār ko prabhāvit karegā jab Masīh virodhī sanār men ek viśvavyāpī dharm sthāpit karegā.

Kaī ghaṭanāon men, sangṭhit dharm kā antim pariṇām Parmeśvar ke uddeśy se vimukh karnā hotā hai. Phir bhī, Bāibal sangṭhit viśvāsīyo ke viṣy men avaśy bāat kartī hai jo uskī yojanā kā hissā hai. Parmeśvar in sangṭhit viśvāsiyon ke samūh ko ‘‘Kalīsiyā’’ kahtā hai. Preriton ke kām aur Patrīyon ke vivaraṇ sanket karte hain ki Kalīsiyā ko sangṭhit aur antar-nirbhar honā chāhie. Sangṭhan surakṣā, utpādakatā aur prachār-prasār kī or mārgdarśan detā hai (Preriton ke kām 2:41-47). Kalīsiya ke sambandh men, ise “sangṭhit sambandh’’ kahnā adhik uttam hogā.

Dharm manuṣy ke lie Parmeśvar ke sāth sahabhāgitā karne kā prayās hai. Masīhī viśvās Parmeśvar ke sāth sambandh rakhanā hai islie kyonki usne jo kuch kiyā use Yīśu Masīh ke balidān ke dvārā hamāre lie kiyā hai. Parmeśvar tak pahunchne ke lie koī bhī yojanā nahīn hai (vah svayaṃ ham tak pahunchā hai - Romiyon 5:8). Ismen ghamṇḍ karne kī koī bāat nahīn hai (sab kuch anugrah se pāyā jātā hai - Iphisiyo 2:8-9). Aguvāī ke viṣy men koī bhī sangharṣ nahīn honā chāhie (Masīh sir hai - Kulussiyon 1:8). Koī pakṣpāt nahīn honā chāhie (ham sab Masīh men ek hain - Galātiyon 3:28). Sangṭhit honā koī samasyā nahīn hai. Kisī ek dharm kī vyavasthāo aur rīti rivājo par dhyān kendrit karnā hī samasyā hai.

English



Hindī ya Roman-Nagari ke mukhya pṛṣṭha par vāpsa jāie

Main sangṭhit dharm men kyon viśvās karūn?
Facebook icon Twitter icon Pinterest icon Email icon
© Copyright Got Questions Ministries