settings icon
share icon
Praśn

Ek hajār varṣ kā rājy kyā hai, aur kyā ise śābdik rūp me samajhnā chāhie?

Uttar


Yīśu Masīh ke pṛthvī par 1000 varṣ ke rājy ko ek hajār varṣīya athavā sahastr varṣ rājy kā nām diyā gayā hai. Kaī 1000 varṣo kā rūpk śailī me vyākhyān karne kā prayās karte hai. Kaī 1000 varṣo ko mātr "ek lambe samay kī avadhi" ko varṇan karne kā ek alaṃkārik tarīkā samajhte hain na ki Yīśu Masīh kā pṛthvī par śābdik, daihik prakār se rājy karnā. Yadyapi, Prakāśitavāky 20: 2-7 me chah bār, ek hajār varṣīya rājy ke samaykāl ko spaṣṭatā se 1000 varṣ kī labbāī men kahā gayā hai. Yadi Parmeśvar kī icchā "ek lambe samay kī avadhi" ko vyakta karne kī hotī, to vah sahajatā se kisī niśchit samaykāl kī spaṣṭatā aur bār-bār iskā ullekh kiye binā ise kar sakatā thā.

Bāibal hame batātī hai ki jab Masīh pṛthvī par vāaps āegā to vah Yarūśalem me Dāūd ke sihāsan par baiṭhakar apane āapko Rājā ke rūp me sthāpit karegā (Lūkā 1:32-33). Binā kisī śart ke vāchāen Masīh ke rājy ke sthāapnā ke lie śābdik, daihik rūp se vāpis āne kī māng kartī hain. Abrāham kī vāchā men Isrāel ko bhūmi, vanśaj aur śāsak aur ātmik āśīṣ pradān karne kī pratījñā dī gaī thī (Utpati 12:1-3). Palastīn kī vāchā Ejrāel ko uskī bhūmi par phir se sthāpit karne aur uskā adhikārī banāe jāne kī pratīgiyā ke sāth dī gaī thī (Vyavasthā Vivaraṇ 30:1-10). Dāud kī vāchā Isrāel ko ṣamā kiye jāne kī pratigyā ke sāth dī gaī thī jis ke dvārā sabhī jātiyān āśīṣit hongī (Yirmayāha 31:31-34).

Dūsarī bār āgman par, yah vāchāen pūrī ho jāegī jab Ejrāel ko any jātiyon men se punah ektrit kiyā jāegā (Mattī 24:31), Masīhā, jo Yīśu Masīh hai ke rājy men unakī bhūmi ke ūpar parivartit (jarkayāha 12:10-14), aur purnasthāpit kiyā jāegā. Bāibal batātī hai ki ek hajār varṣ ke rājy ke samay me bhautik tathā ātmik rūp se vātāvaraṇ pūrṇ rūp se siddhtā se bharā huā hogā. Yah śānti kā (Mīkā 4:2-4; Yaśāyāha 32:7-18), Anand kā (Yaśāyāha 61:7-10), sukh-chain kā samay hogā (Yaśāyāha 40:1-2), aur ismen na garībī aur na hī koī bīmārī hogī (Amos 9:13-15; Yoel 2:28-29). Bāibal hame yah bhī batātī hai ki keval viśvāsī hī ek hajār varṣ ke rājy me karegen. Is kāraṇ se, yah pūrṇta: dharmikatā (Mattī 25:37; Bhajan Sanhitā 24:3-4), āgiyākāritā (Yirmayāha 31:33), Pavitrtā (Yaśāyāha 35:8), Sacchāī (Yaśāyāha 65:16), Pavitr Atmā se paripūrṇ hone kā samay hogā (Yoel 2:28-29). Masīh Rājā ke rūp me śāsan karegā (Yaśāyāha 9:3-7; 11:1-10), aur Dāud ke rājy kā pratinidhi hogā (Yirmayāha 33:15-21; Amos 9:11),. kulīn jana aur rājypāl bhī rājy karenge (Yaśāyāha 32:1 Mattī 19:28), aur Yarūśalem sanār kā rājnaitik kendr hogā (jararyāha 8:3).

Prakāśitavāky 20:2-7 ek hajār varṣ ke rājy kā sahī-sahī samaykāl detā hai. Yahān tak ki Pavitr Sāstr ke vachano ke binā bhī, asankhy any aise vachan hain jo Masīh ke pṛthvī par śabdika rūp se rājy karne kī or sanket dete hain. Bahut sī Parmeśvar kī vāchāon aur pratigayaon ko pūrā honā śabdika, daihik, bhaviṣy ke rājy par nirbhar kartā hai. Ek hajār varṣ ke rājy kī śabdika vyākhyā aur uske 1000 varṣo ke samaykāl ke hone se inkār karne kā koī bhī ṭhos ādhār nahī milatā hai.

English



Hindī ya Roman-Nagari ke mukhya pṛṣṭha par vāpsa jāie

Ek hajār varṣ kā rājy kyā hai, aur kyā ise śābdik rūp me samajhnā chāhie?
Facebook icon Twitter icon Pinterest icon Email icon
© Copyright Got Questions Ministries